Saturday, November 15, 2008

Aakhri chand din december ke

Aakhri chund din december ke
her baras hi giraan guzarty hain
khwahishon ke nigaar khany se
kaisy kaisy gumaan guzrty hain
raftgaan ke bikharty saayon ki
aik mehfil si dil main sajti hai
phone ki diary ke safhon se
kitnay number pukaarty hain mujhay
jin se marboot benawa ghanti
ab faqt mery dil mein bajti hai
kis qadar pyare pyare naamon per
reengti badnuma lakirain si
meri aankhoon eain phail jati hain
doriyaan dairay banati hain
dheyaan ki sirhiyon pe kya kya aks
mash'alain dard ki jalatay hain
aisay kaaghaz pe pail jatay hain
haadsay ke muqaam par jaisay
khoon ke sokhtay nishanon par
chalk se linain lagatay hain
har desember ke aahri din mein
har baras ki tarah se ab ke bhi
diairy ik sawaal karti hai
kya khabar is baras ke aakhir tak
meray in bechiraag safhon se
kitnay hi naam kut gaye honge
kitny number bikher ke raaston mein
gard-e-mazi se att gaye hoonge
khaak ki dherion ke daaman mein
kitnay tofaan simatt gaye honge
Her desember mein main sochta hon
aik din is tarah bhi hona hai
rang ko roshni mein khona hai
apnay apnay gharon mein rakhi hui
diary dost dekhtay honge
unn ki aankhon ke khaakdaanon mein
ik sehra sa pailta hoga
aur kuchh benishaan safhon se
naam mera bhi kut geya ho ga

No comments: